
Baab Jum'ah Ki Farziyat Ka Bayaan, Kyu'nke Allaah Paak Ka Irshaad Hai ! Jab Jum'ah Ki Azaan Ho Jum'ah Ke Din To Allaah Ke Zikr Ki Taraf Daudo Aur Khareed Wa Farokht Chhod Do, Yeh Tumhaare Liye Behtar Hai Agar Tum Jaano, (Sureh Jum'ah, Aayat No.9) Riwaayat Hai Abdur Rahmaan Bin Hurmuz Aa'raj Se Jo Ke Rabee'ah Bin Haaris Ke Aazaad Kardah Gulaam Hai'n, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Unho'n Ne Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Suna Ke Rasoolullaah ﷺ Farma Rahe The Ke Ham (Be'sat Me'n) Aakhir Hai'n Aur Qayaamat Ke Din Saabiq Ho'nge, Albatta Unko Hamse Pehle Kitaab Di Gayi, Phir Yeh (Jum'ah) Woh Din Hai Jo Allaah Paak Ne Unpar Farz Kiya Tha, Unho'n Ne Uss Din (Ke Ta'ayyun) Me'n Ikhtelaaf Kiya, To Allaah Paak Ne Hame'n Uss Din Ki Hidaayat De Di, Pas Log Uss Din Me'n Hamaare Taabe Hai'n, Yahood Kal Ke Din (Ya'ni Hafta) Ki Ta'zeem Karte Hai'n Aur Nasaara Kal Ke Ba'ad Ke Din (Itwaar) Ki (Ta'zeem Karte Hai'n).
Riwaayat Hai Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Jum'ah Ke Din (Masjid Me'n) Aaye To Woh Gusl Kare.
Riwaayat Hai Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Jum'ah Ke Din Khade Huwe Khutba De Rahe The Ke Itne Me'n Muhaajireen e Awwaleen Me'n Se Nabi e Kareem ﷺ Ke Ek Sahaabi Masjid Me'n Daakhil Huwe Aur, Pas Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Unko Pukaar Kar Farmaaya, Yeh Kaunsa Waqt Hai, (Jum'ah Me'n Aane Ka? Unho'n Ne Kaha, Mai'n Mashgool Tha (Kaam Kaaj Me'n) Mai'n Iss Waqt Apne Ghar Paho'nch Saka, Jab Mai'n Ne Azaan Suni, Mai'n Ne Wazu Karne Ke Siwa Aur Kuchh Nahee'n Kiya, (Aur Masjid Chala Aaya) Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Aur Wazu Bhi (Ya'ni Sirf Wazu To Jum'ah Ke Din Qaabil e Malaamat Hai) Haalaa'nke Aapko Ilm Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Gusl Ka Hukm Dete The. (Jum'ah Ke Din).
Riwaayat Hai Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jum'ah Ke Din Gusl Karna Har Baalig Par Waajib Hai.
Amr Bin Sulaim Ansaari Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Mai'n Gawaahi Deta Hoo'n Ke Hazrat Abu Sa'eed Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Ke Mai'n Gawaahi Deta Hoo'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Ke Jum'ah Ke Din Gusl Karna Har Baalig Par Waajib Hai Aur Woh Miswaak Kare Aur Agar Usko Khushbu Muyassar Ho To Woh Khushbu Lagaaye, Amr Ne Kaha, Raha Gusl To Gawaahi Deta Hoo'n Ke Woh Waajib Hai Aur Rahi Miswaak Aur Khushbu To Allaah Paak Hi Jaanta Hai Ke Woh Waajib Hai Ya Nahee'n, Lekin Hadees Me'n Isi Tarah Hai, Imaam Abdullaah Ne Kaha Woh (Raawi) Muhammad Bin Munkadir Ke Bhaayi Hai'n Aur Abu Bakar Ka Naam Nahee'n Liya Gaya, Aur Iss Hadees Ko Unse Bukair Bin Ashaj Aur Sa'eed Bin Abi Hilaal Aur Muta'adid Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Muhammad Bin Munkadir Ki Kunniyat Abu Bakar Aur Abu Abdullaah Hai.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai, Woh Farmaate Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ne Jum'ah Ke Din Iss Tarah Gusl Kiya Jis Tarah Woh Gusl e Janaabat Karta Hai, Phir Woh (Jum'ah Padhne) Chala Gaya To Goya Usne Oo'nt Ka Sadqa Kiya, Aur Jo Doosri Ghadi Me'n Gaya Goya Usne Gaaye Ka Sadqa Kiya Aur Jo Teesri Ghadi Me'n Gaya Usne Goya See'ngh Waale Me'ndhe Ka Sadqa Kiya Aur Jo Chauthi Ghadi Me'n Gaya Usne Goya Murgi Ka Sadqa Kiya Aur Jo Paa'nchwee'n Ghadi Me'n Gaya Usne Goya Ande Ka Sadqa Kiya, Pas Jab Imaam Nikal Aaye (Khutba Keliye) To Farishte Aa Jaate Hai'n Aur Woh Wa'az (Ya'ni Khutba e Jum'ah) Samaa'at Karte Hai'n.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Jis Waqt Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Jum'ah Ka Khutba De Rahe The (Uss Waqt) Ek Sahaabi Masjid Me'n Daakhil Huwe (To) Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Aap Apni Namaaz Me'n Kyu'n Taakheer Karte Hai'n? Unho'n Ne Kaha, Bas Itna Waqt Laga Hai Ke Mai'n Ne Azaan Sunte Hi Wazu Kiya, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Kya Aap Logo'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Yeh Nahee'n Suna, Ke Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Jum'ah Keliye Jaaye To Gusl Kare.
Riwaayat Hai Hazrat Salmaan Faarsi Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jo Shakhs Bhi Jum'ah Ke Din Gusl Karega Aur Apni Taaqat Ke Mutaabiq Paakeezgi Haasil Karega Aur Apna Tel Lagaayega Ya Apne Ghar Se Khushbu Lagaayega Phir (Jum'ah Keliye) Niklega Aur 2 Aadmiyo'n Ke Darmiyaan Tafarraqa Nahee'n Karega, Phir Itni Namaaz Padhega Jitni Uske Liye Muqaddar Kardi Gayi Hai, Phir Jab Imaam Khutba Dega To Woh Khaamosh Baitha Rahega To Uss Shakhs Keliye Uss Jum'ah Aur Doosre Jum'ah Ke Darmiyaan Ke Gunaaho'n Ki Magferat Kardi Jaayegi.
Taaoos Ne Kaha Ke Unho'n Ne Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Se Arz Kiya Ke Logo'n Ne Yeh Hadees Zikr Ki Hai Ke Nabi Akram ﷺ Ne Farmaaya, Jum'ah Ke Din Gusl Karo Aur Apne Saro'n Ko Dhowo (Dhoye) Khwaah Tum Junubi (Na Paak) Na Ho Aur Khushbu Lagaao, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Farmaaya, Raha Gusl To Woh Aap Ka Irshaad Hai Aur Khushbu Ke Muta'alliq Mujhe Ilm Nahee'n.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Se, Unho'n Ne Jum'ah Ke Din Gusl Ke Muta'alliq Nabi e Kareem ﷺ Ki Hadees Ka Zikr Kiya, Taaoos Ne Kaha, Mai'n Ne Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Se Kaha, Agar Woh Apni Beewi Ke Paas Ho To Kya Woh Khushbu Lagaaye Aur Tel Lagaaye? Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Mujhe Iska Ilm Nahee'n Hai. (Hazraat Zara Iss Hadees Par Gaur Kare'n Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Jo Ilm Ke Samandar Hai'n Unse Jab Masla Poochha Gaya Lekin Iss Masle Ke Baare Me'n Unko Uss Waqt Ilm Nahee'n Tha To Saaf Irshaad Farmaaya Ke Mujhe Iska Ilm Nahee'n Lekin Aaj Ka Haal Kya Hai Aaj To Jaahil Log Jinko Kuchh Ilm Nahee'n Woh Bagair Ilm Ke Jawaab Dete Hai'n Apni Aqal Se Aur Saath Hi Iss Hadees Se Ulama e Kiraam Ko Bhi Sabaq Leni Chaahiye Ke Agar Aapse Koi Masla Dariyaaft Kare Lekin Iss Masle Ka Ilm Aapke Paas Uss Waqt Na Ho To Saa'il Se Kahe'n Mujhe Iska Ilm Nahee'n Ya Abhi Mujhe Iss Masle Ka Ilm Nahee'n Ba'ad Me'n Bataata Hoo'n Isse Aapki Shaan Nahee'n Chali Jaayegi Balke Shaan Badhegi)
Riwaayat Hai Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Ne Resham Ka Sunehri Dhaariyo'n Waala Hulla (Jubba) Masjid Ke Darwaaze Par Bikte Huwe Dekha, Pas Unho'n Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Kaash Aap ﷺ Isko Khareed Lete Aur Jum'ah Ke Din Isko Pahente Aur Jis Din Aap ﷺ Se Koi Wafad Milne Keliye Aata, To Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Isko Woh Log Pahente Hai'n Jinka Aakherat Me'n Koi Hissa Nahee'n Hota, Phir Rasoolullaah ﷺ Ke Paas Chand Hulle (Jubbe) Aaye, Aap ﷺ Ne Unme'n Se Ek Hulla Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Ko Ata Kar Diya, To Umar Radiallaahu Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Aapne Mujhe Hulla Pahenne Keliye Diya Hai Haalaa'nke Aap Utaarid Ke Hulle Ke Muta'alliq Mujhse Woh Irshaad Farma Chuke Hai'n, Tab Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya ! Mai'n Ne Tumko Woh Hulla Khud Pahenne Keliye Nahee'n Diya, (Ya'ni Kisi Kaafir Ko Dene Keliye Diya Hai) Phir Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Ne Woh Hulla Makkah Me'n Apne Ek Mushrik Bhaayi Ko Pehna Diya.
Aur Hazrat Abu Sa'eed Radiallaahu Anhu Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Yeh Riwaayat Ki Hai Ke Aap ﷺ Miswaak Kar Rahe The, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya ! Agar Mujhe Apni Ummat Par Dushwaar Na Hota Ya Farmaaya ! Logo'n Ko Dushwaar Na Hota To Mai'n Unhe'n Hukm Deta Ke Woh Har Namaaz Ke Saath (Ya'ni Har Namaaz Se Pehle) Miswaak Kare'n.
Riwaayat Hai Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya ! Mai'n Ne Miswaak Karne Ke Muta'alliq Tumse Bahot Zyaadah Kaha Hai. (Ma'loom Huwa Miswaak Karne Ki Badi Fazeelat Hai Tabhi To Rasoolullah ﷺ Ne Uspar Bahot Zyaadah Logo'n Ko Ubhaara Hai Iss Wajah Se Hum Logo'n Ko Chaahiye Ke Daa'nt Saaf Karne Keliye Aaj Naw Ijaad Cheezo'n Ke Iste'maal Karne Ke Bajaaye Miswaak Ka Iste'maal Kare'n Taake Sunnat Bhi Ada Ho Daa'nt Bhi Saaf Ho Aur Neki Me'n Bhi Izaafa Ho (Az Shabbir Ahmad Raaj Mehli)
Riwaayat Hai Hazrat Huzaifa Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Raat Ko Uthte To Apne Muh Me'n Miswaak Malte.
Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se, Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Hazrat Abdur Rahmaan Bin Abi Bakar Radiallaahu Anhuma Aaye Aur Unke Paas Miswaak Thi Jisse Woh Daa'nt Saaf Kar Rahe The, Rasoolullaah ﷺ Ne Unki Taraf Dekha, Mai'n (Aa'yesha Radiallaahu Anha) Ne Kaha, Aye Abdur Rahmaan, Mujhe Yeh Miswaak Dedo, So Unho'n Ne Mujhe Woh Miswaak Dedi, Mai'n Ne Uska (Agla Hissa) Kaata, Phir Mai'n Ne Usko Chabaaya, Pas Mai'n Ne Woh Miswaak Rasoolullaah ﷺ Ko De Di, Aap ﷺ Ne Uss Miswaak Ko Iste'maal Farmaaya, Uss Waqt Aap ﷺ Mere Seene Ki Taraf Tek Lagaaye Huwe The. (Iss Hadees Me'n Iss Baat Ka Saboot Hai Ke Bani Aadam Ka Lu'aab Paak Hai, Iss Hadees Me'n Iss Baat Ki Daleel Bhi Hai Ke Koi Shakhs Apne Mahaarim Ke Ghar Me'n Daakhil Ho Sakta Hai, Iss Hadees Me'n Iss Baat Ki Bhi Daleel Hai Ke Ek Shakhs Ke Kiye Huwe Miswaak Ko Doosra Shakhs Iste'maal Kar Sakta Hai)
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Jum'ah Ke Din Subah Ki Namaaz Me'n الم، تنزیل( السجدۃ) اورهَلْ أَتٰى عَلَى الإِنْسَانِ حِينٌ مِنَ الدَّهْرِ Padha Karte The.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ki Masjid Me'n Jum'ah Ke Ba'ad Jo Sabse Pehla Jum'ah Padha Gaya Woh Behrain Ke Shaher Juwaasi Ki Masjid Abdul Qais Me'n Padha Gaya Tha.
Riwaayat Hai Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke, Mai'n Ne Nabi e Akram ﷺ Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Hai, Tum Me'n Se Har Shakhs Nigehbaan Hai, Aur Lais Ne Yeh Izaafa Kiya Ke Yoonus Ne Kaha, Ruzaiq Bin Hukaim Ne Ibne Shihaab Ki Taraf Likha Aur Uss Din Mai'n Unke Saath Waadi e Qura Me'n Tha, Aapki Kya Raaye Hai Mai'n Jum'ah Qaayem Karoo'n? Aur Ruzaiq Uss Zameen Par Aa'mil The, Aur Usme'n Amal Karte The Aur Usme'n Habshiyo'n Aur Doosre Logo'n Ki Jamaa'at Thi, Aur Ruzaiq Un Dino'n Aela Par Haakim The, Pas Ibne Shihaab Ne Jawaab Likha Aur Mai'n Sun Raha Tha, Unho'n Ne Unko Jum'ah Qaayem Karne Ka Hukm Diya, Aur Unko Khabar Di Ke Saalim Ne Unko Yeh Hadees Bayaan Ki Hai Ke Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Hai, Tum Me'n Se Har Shakhs Nigehbaan Hai Aur Har Shakhs Apne Maatahet Logo'n Ki Taraf Se Jawaab Deh Hai, Sarbaraah Mulk Ka Nigehbaan Hai Aur Woh Apne Maatahet Logo'n Ki Taraf Se Jawaab Deh Hai, Mard Apne Ghar Waalo'n Ka Nigehbaan Hai Aur Woh Apne Ghar Waalo'n Ki Taraf Se Jawaab Deh Hai, Aur Aurat Apne Khaawind Ke Ghar Ki Nigehbaan Hai Aur Woh Apne Maatahet Logo'n Ki Taraf Se Jawaab Deh Hai Aur Naukar Apne Maalik Ke Maal Ka Nigehbaan Hai Aur Woh Apne Zer e Tasarruf Cheezo'n Ki Taraf Se Jawaab Deh Hai Aur Mera Gumaan Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya, Aur Mard Apne Baap Ke Maal Ka Nigehbaan Hai Aur Apne Zer e Tasarruf Cheezo'n Ki Taraf Se Jawaab Deh Hai Aur Tum Me'n Se Har Shakhs Nigehbaan Hai Aur Usse Uske Maatahet Logo'n Ke Muta'alliq Sawaal Kiya Jaayega.
Aur Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ne Farmaaya, Gusl Uspar Hai Jis Par Jum'ah Farz Hai, (Phir Imaam Bukhaari Ne Hadees No.894 Naqal Ki Ke) Riwaayat Hai Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ko Mai'n Ne Farmaate Huwe Suna Hai Ke, Tum Me'n Se Jo Shakhs Jum'ah Keliye Aaye Woh Gusl Kare.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya ! Jum'ah Ke Din Gusl Karna Har Baalig Par Waajib Hai.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Ham Be'sat Me'n Aakhir Aur Qayaamat Ke Din Saabiq Ho'nge (Lekin) Unko Hamse Pehle Kitaab Di Gayi Aur Hamko Unke Ba'ad Kitaab Di Gayi, Pas Yeh (Jum'ah Ka) Din Woh Hai Jisme'n Unho'n Ne Ikhtelaaf Kiya Tha, Pas Allaah Paak Ne Hamko Hidaayat Di, Yahood Ne (Ta'zeem Keliye) Kal Ka Din (Ya'ni Hafte Ka) Muqarrar Kiya Aur Nasaara Ne Kal Ke Ba'ad Ka (Ya'ni Itwaar Ka), Phir Aap ﷺ Khaamosh Ho Gaye.
Phir Aap ﷺ Ne Farmaaya, Har Musalmaan Par Waajib Hai Ke Woh Har 7 Din Me'n Ek Din Gusl Kare, Usme'n Apna Sar Aur Jism Dhoye.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya ! Har Musalmaan Par Waajib Hai Ke Woh 7 Din Me'n Ek Din Gusl Kare.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Aurato'n Ko Raat Me'n Masaajid Ki Taraf Jaane Ki Ijaazat Do.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ki Beewi Subah Ki Aur Isha Ki Namaaz Jamaa'at Ke Saath Padhne Keliye Masjid Me'n Jaati Thee'n, Unse Kaha Gaya, Aap Ghar Se Kyu'n Nikalti Hai'n? Jabke Aapko Ma'loom Hai Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ko Aapka Nikalna Na Gawaar Hai, Aur Unko Ispar Gairat Aati Hai, Unho'n Ne Kaha, Phir Unko Mujhe Mana Karne Se Kya Cheez Maane (Mana Karti) Hai? Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ne Kaha, Unko Mana Karne Se Rasoolullaah ﷺ Ka Yeh Irshaad Maane (Mana Karta) Hai Ke Allaah Ki Bandiyo'n Ko Allaah Ki Masaajid Me'n Jaane Se Mana Na Karo. (Iss Hadees Se Naseehat Haasil Karni Chaahiye Un Hazraat Ko Jo Isi Par Zor Dete Hai'n Ke Aurato'n Ko Chaahiye Ke Woh Masjid Jaaye'n Namaaz Padhne, Zara Dekhe'n To Sahaabi e Rasool Hazrat Ameerul Momineen Khaleefatul Muslimeen Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ki Beewi Jab Subah Wa Isha Me'n Namaaz Padhne Masjid Jaati Thee'n To Unko Apni Beewi Ka Jaana Na Gawaar Tha, Lekin Hadees Ki Wajah Se Mana Nahee'n Karte The, To Ma'loom Huwa Ke Agarche Hadees Me'n Aurato'n Ka Masjid Jaana Saabit Hai Magar Aurato'n Ka Ghar Par Namaaz Padhna Hi Afzal Hai. (Az Shabbir Ahmed Raaj Mahli))
Riwaayat Hai Abdullaah Bin Haaris Se Muhammad Bin Seereen Ke Chacha Zaad Bhaayi Hai'n Ke Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Baarish Ke Din Apne Mo'azzin Se Kaha, Jab Tum "Ash'hadu Anna Muhammadar Rasoolullaah" Keh Lo To "Hayya Alas Salaah" Na Kehna (Balke) Kehna Apne Gharo'n Me'n Namaaz Padho, To Goya Logo'n Ne Isko Na Pasand Kiya, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha, Iss Kaam Ko Unho'n Ne Kiya Hai Jo Mujhse Afzal The, Jum'ah Padhne Ki Taakeed Hai Aur Mai'n Ne Tumhe'n Harj Me'n Daalna Na Pasand Kiya Ke Tum Keechad Aur Phislan Me'n Chaloge.
Baab, Kahaa'n Se Jum'ah Padhne Keliye Aana Chaahiye Aur Kis Par Jum'ah Padhna Waajib Hai, Kyu'nke Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Jab Jum'ah Ke Din Namaaz Ki Azaan Di Jaaye To Allaah Ke Zikr Ki Taraf Daud Pado, (Sureh Jum'ah, Aayat No.9) Aur Ata Ne Kaha, Jab Tum Kisi Jaame Basti Me'n Ho, Phir Jum'ah Ke Din Namaaz Ki Azaan Di Jaaye To Phir Tum Par Waajib Hai Ke Tum Jum'ah Ki Namaaz Me'n Haazir Ho Khwaah Tumne Azaan Suni Ho Ya Na Suni Ho, Aur Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Apne Mahel Me'n Kabhi Jum'ah Ki Namaaz Padhaate Aur Kabhi Na Padhaate Aur Unka Mahel Zaawiya (Unki Zameen Se Basrah Tak 3 Meel Ke Faasle Par Ek Jagah) Ke Maqaam Par 2 Farsakh Ke Faasle Par Tha, (Phir Hadees No.902 Yeh Hai Ke) Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Se Riwaayat Hai, Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Log Apne Gharo'n Se Aur Madeena Ke Atraaf Me'n Buland Aabaadiyo'n Se Baari Baari Namaaz e Jum'ah Padhne Aaya Karte The, Woh Gard Wa Gubaar Me'n Chal Kar Aate The, Unpar Gubaar Aur Paseena Bahot Aata Tha, Phir Unke Jism Se Paseena Nikalta Tha, Pas Unme'n Se Ek Insaan Rasoolullaah ﷺ Ke Paas Aaya, Uss Waqt Aap ﷺ Mere Paas The, To Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Kaash ! Tum Log Iss Din Keliye Gusl Kar Liya Karte. (Hazraat Thoda Tawajjoh Kare'n Kitni Door Door Se Aur Kitni Mushkilaat Ko Bardaasht Karte Huwe Sahaaba e Kiraam Namaaz e Jum'ah Ada Karne Aate The Magar Aajka Haal Dekhe'n Paa'ncho'n Namaaz To Chhode'n Jum'ah Ki Namaaz Tak Log Bilkul Qareeb Masjid Hone Ke Baawajood Padhne Nahee'n Aate, Allah Hum Sab Par Rahem Farmaaye Aameen (Az Shabbir Ahmad Raaj Mehli)
Baab, Zawaal Shams Ke Ba'ad Jum'ah Ka Waqt Hota Hai, Aur Isi Tarah Hazrat Umar Radiallaahu Anhu, Hazrat Ali Radiallaahu Anhu, Hazrat No'maan Bin Basheer Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Amr Bin Hurais Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai (Ke Jum'ah Ka Waqt Zawaal Shams Ke Ba'ad Shuru Hota Hai) (Ab Hadees No.903 Yeh Hai Ke) Yahya Bin Sa'eed Se Riwaayat Hai, Unho'n Ne Kaha, Amrah Se Jum'ah Ke Din Gusl Karne Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, Pas Unho'n Ne Kaha Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya, Log Ghar Ka Kaam Kaaj Karte The Aur Jab Woh Jum'ah Padhne Keliye Jaate To Usi Hayyat Me'n Chale Jaate The To Unse Kaha Gaya, Kaash ! Tum Gusl Kar Liya Karo.
Riwaayat Hai Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Zawaal Aaftaab Ke Waqt Jum'ah Ki Namaaz Padhaate The.
Riwaayat Hai Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Kaha Ke, Ham Jum'ah Ki Namaaz Jaldi Padhte The Aur Uske Ba'ad Qailoola Karte The.
Riwaayat Hai Abu Khaldah Se Aur Woh Khaalid Bin Deenaar Hai'n, Unho'n Ne Kaha Ke, Mai'n Ne Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ko Yeh Bayaan Karte Huwe Suna Ke Jab Sakht Sardi Hoti To Nabi e Kareem ﷺ Jaldi Namaaz Padhaate Aur Jab Sakht Garmi Hoti To Namaaz Ko Thanda Karke Padhaate, Ya'ni Jum'ah Ko, Yoonus Bin Bukair Ne Kaha, Hame'n Abu Khaldah Ne Khabar Di, Unho'n Ne Namaaz Ka Lafz Kaha Aur Jum'ah Ka Zikr Nahee'n Kiya Aur Basheer Bin Saabit Ne Kaha, Hame'n Abu Khaldah Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Hame'n Ek Ameer Ne Jum'ah Ki Namaaz Padhaayi, Phir Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se Poochha, Nabi e Kareem ﷺ Kis Tarah Zohar Padhte The?.
Baab, Jum'ah Ki Taraf Chal Kar Jaana, Aur Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Pas Daudo Allaah Ke Zikr Ki Taraf, (Sureh Jum'ah, Aayat No.9) Aur Jisne Kaha, Iss Aayat Me'n Sa'ee Ka Ma'ni Amal Karna Hai Aur Jaana Hai, Kyu'nke Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Aur Usne Uske Liye Uski Koshish Ki, (Sureh Bani Israa'eel, Aayat No.19) Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha, Uss Waqt (Ya'ni Azaan e Jum'ah Ke Waqt) Bay (Khareed Farokht) Haraam Ho Jaati Hai, Aur Ata Ne Kaha, Uss Waqt Har Qism Ki Kaareegari Haraam Hai, Aur Ibraaheem Bin Sa'ad Ne Kaha, Az Zohri, Jab Mo'azzin Jum'ah Ki Azaan De Aur Woh Musaafir Ho To Uspar Jum'ah Me'n Haazir Hona Laazim Hai, (Phir Hadees No.907 Yeh Hai Ke) Hadees Bayaan Ki Abaaya Bin Rifaa'ah Ne, Unho'n Ne Kaha, Abu Abas Ne Mujhe Paaliya Aur Uss Waqt Mai'n Jum'ah Ki Taraf Ja Raha Tha, Pas Unho'n Ne Kaha, Mai'n Ne Nabi Akram ﷺ Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Hai Ke Jis Ke Pair Allaah Paak Ki Raah Me'n Gubaar Aalood Ho Gaye Allaah Paak Usko Dozakh Par Haraam Kardega.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Hai Ke Jab Namaaz Ki Iqaamat Kahi Jaaye To Tum Daudte Huwe Na Aao Lekin Tum Chalte Huwe Aao Aur Tum Itmenaan Ko Laazim Rakho, Pas Jo Namaaz Tum Pa Lo Usko Padho Aur Jo Namaaz Tumse Faut Ho Jaaye Usko Poora Karlo.
Imaam Bukhaari Riwaayat Karte Hai'n, Hame'n Amr Bin Ali Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Hame'n Abu Qutaiba Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Hame'n Ali Bin Mubaarak Ne Hadees Bayaan Ki, Az Yahya Bin Abi Kaseer Az Abdullaah Bin Abi Qataadah, Abu Abdullaah (Imaam Bukhaari) Ne Kaha, Mai'n Iss Hadees Ko Sirf Unke Waalid Ki Riwaayat Se Pehchaanta Hoo'n, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Tum Uss Waqt Tak Na Khade Ho (Namaaz Keliye Iqaamat Ke Waqt) Hatta Ke Tum Mujhe (Namaaz Keliye Aate) Dekh Na Lo Aur Tum Itmenaan Ko Laazim Rakho.
Riwaayat Hai Hazrat Salmaan Faarsi Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ne Jum'ah Ke Din Gusl Kiya, Aur Apni Istetaa'at Ke Mutaabiq Paakeezgi Haasil Ki, Phir Tel Lagaaya, Ya Khushbu Lagaayi, Phir (Jum'ah Keliye) Chala, Pas 2 Aadmiyo'n Ke Darmiyaan Faraq Nahee'n Kiya, Phir Jitni Namaaz Uske Liye Muqaddar Thi Usne Utni Padhi, Phir Jab Imaam Hujre Se Baahar Nikal Aaya To Woh Khaamosh Raha To Uss Jum'ah Aur Doosre Jum'ah Ke Darmiyaan Jo Gunaah Hai'n (Uske) Unko Mu'aaf Kar Diya Jaayega.
Riwaayat Hai Naafe Se, Woh Kehte Hai'n Mai'n Ne Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ko Yeh Kehte Huwe Suna Hai Ke Nabi e Akram ﷺ Ne Isse Mana Farmaaya Hai Ke Koi Shakhs Apne Bhaayi Ko Uski Jagah Se Utha Kar Uski Jagah Baith Jaaye, Mai'n Ne Naafe Se Poochha, Jum'ah Ke Din? Unho'n Ne Kaha, Jum'ah Ke Din Bhi Aur Doosre Dino'n Me Bhi.
Riwaayat Hai Hazrat Saa'ib Bin Yazeed Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Jum'ah Ke Din Nabi e Kareem ﷺ Ke Zamaane Me'n Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ke Zamaane Me'n Azaan Uss Waqt Hoti Thi Jab Imaam Mimbar Par Baithta Tha, Pas Jab Hazrat Usmaan Radiallaahu Anhu Ka Zamaana e Khilaafat Aaya Aur Logo'n Ki Te'daad Zyaadah Ho Gayi To Hazrat Usmaan Ne Maqaam e Zaura Par Teesri Azaan Ka Izaafa Kar Diya, Abu Abdullaah Imaam Bukhaari Ne Kaha, Zaura Madeena Ke Baazaar Me'n Ek Jagah Hai.
Riwaayat Hai Hazrat Saa'ib Bin Yazeed Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Kaha, Jis Shakhs Ne Jum'ah Ke Din Teesri Azaan Ka Izaafa Kiya Woh Hazrat Usmaan Bin Affaan Radiallaahu Anhu The, Jab Ahle Madeena Ki Kasrat Ho Gayi Aur Ek Ke Siwa Nabi e Kareem ﷺ Ka Aur Koi Mo'azzin Nahee'n Tha Aur Jum'ah Ke Din Azaan Uss Waqt Di Jaati Thi Jab Imaam Mimbar Par Baith Jaata Tha.
Riwaayat Hai Abi Umaama Bin Sahl Bin Hunaif Se Unho'n Ne Kaha, Mai'n Ne Hazrat Mu'aaviya Bin Abi Sufiyaan Radiallaahu Anhuma Se Mimbar Par Suna, Jab Mo'azzin Kehta "Allaahu Akbar" , "Allaahu Akbar" To Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Kehte "Allaahu Akbar" , "Allaahu Akbar" Jab Woh Kehta "Ash'hadu A'nlla Ilaaha Illallaah" To Hazrat Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Yeh Kehte, Aur Mai'n (Bhi Kehta Hoo'n) Aur Jab Woh Kehta "Ash'hadu Anna Muhammadar Rasoolullaah" To Hazrat Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Kehte Aur Mai'n (Bhi Kehta Hoo'n) Aur Jab Usne Azaan Khatam Karli To Hazrat Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Aye Logo ! Beshak Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Se Uss Majlis Me'n Suna Hai, Jab Mo'azzin Azaan De To Tumne Mujhse Jo Kalmaat Abhi Sune Hai'n Woh Kaho.
Riwaayat Hai Ibne Shihaab Se Ke Hazrat Saa'ib Bin Yazeed Radiallaahu Anhu Ne Khabar Di Ke Jum'ah Ke Din Doosri Azaan Ka Hazrat Usmaan Radiallaahu Anhu Ne Hukm Diya Tha, Jab Masjid Me'n Log Bahot Zyaadah Ho Gaye The, Jis Waqt Imaam (Mimbar Par) Baithta Tha.
Zohri Ne Kaha, Mai'n Ne Suna Hazrat Saa'ib Bin Yazeed Radiallaahu Anhu Se, Yeh Kehte The Ke Jum'ah Ke Din Azaan Sab Se Pehle Uss Waqt Huwi Thi Jab Imaam Mimbar Par Baith Jaata Rasoolullaah ﷺ Ke Zamaane Me'n, Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ke Zamaane Me'n, (Lekin) Jab Hazrat Usmaan Radiallaahu Anhu Ki Khilaafat Ka Zamaana Aaya Aur Logo'n Ki Te'daad Bahot Zyaadah Ho Gayi To Hazrat Usmaan Radiallaahu Anhu Ne Teesri Azaan Dene Ka Hukm Diya, Pas Yeh Azaan Zaura Par Di Jaati Thi, Phir Yehi Ma'mool Barqaraar Raha.
Baab, Mimbar Par Khutba Dena, Aur Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Ne Mimbar Par Khutba Diya, (Hadees No.917 Yeh Hai Ke) Haazim Bin Deenaar Ne Hadees Bayaan Ki Ke Ba'az Log Hazrat Sahl Bin Sa'ad Saa'idi Ke Paas Aaye Aur Woh Isme'n Bahes Kar Rahe The Ke Mimbar Kaunsi Lakdi Ka Tha, Unho'n Ne Hazrat Sahl Radiallaahu Anhu Se Uske Muta'alliq Sawaal Kiya, Hazrat Sahl Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Allaah Ki Qasam ! Mai'n Zaroor Pehchaanta Hoo'n Woh Kiska Bana Huwa Tha Aur Beshak Mai'n Ne Usko Dekha Jab Pehle Din Usko Rakha Gaya Aur Uspar Rasoolullaah ﷺ Tashreef Farma Huwe, Rasoolullaah ﷺ Ne Fulaa'n Aurat Ke Paas Kisi Ko Bheja, Sahl Radiallaahu Anhu Ne Uss Aurat Ka Naam Liya Tha, (Aap ﷺ Ne Uss Aurat Se Farmaaya) Tum Apne Bete Ko Hukm Do Jo Badhayi (Lakdi Ka Kaam Karta) Hai Ke Woh Mere Liye Seedhiyo'n Par Mushtamil Mimbar Bana De, Jis Par Mai'n Uss Waqt Baithoo'n Jab Mai'n Logo'n Se Kalaam Karoo'n, Uss Aurat Ne Apne Bete Ko Hukm Diya, Pas Usne Tarful Gaaba (Saagwaan) Ki Lakdi Se Woh Mimbar Bana Diya, Pas Uss Aurat Ne Usko Rasoolullaah ﷺ Ke Paas Bheja, Aap ﷺ Ne Hukm Diya Uss (Mimbar) Ko Uss Jagah Rakh Diya Gaya, Phir Mai'n Ne Dekha Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Uss Mimbar Par Namaaz Padhaayi, Aap ﷺ Ne Takbeer Padhi, Aur Aap ﷺ Uss Mimbar Par The, Phir Aap ﷺ Ne Uss Mimbar Par Ruku Kiya, Phir Aap ﷺ Mimbar Se Utar Kar Pichhle Pairo'n Par Laute, Phir Aap ﷺ Ne Mimbar Ki Jad Me'n Sajdah Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Usi Tarah (Doosri Rak'at Padhaayi), Phir Jab Aap ﷺ Namaaz Padha Kar Faarig Ho Gaye, To Aapne Logo'n Ki Taraf Mutawajjeh Hokar Farmaaya, Aye Logo ! Mai'n Ne Yeh Namaaz Isliye Padhaayi Hai Taake Tum Meri Iqteda Karo Aur Tum Mere Namaaz Ke Tareeqe Ko Jaan Lo.
Riwaayat Hai Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Kaha Nabi e Kareem ﷺ Khajoor Ke Tane Ke Sahaare Khade Hokar Khutba Diya Karte The, Jab Aap ﷺ Keliye Mimbar Rakh Diya Gaya To Hamne Uss Tane Se Aisi Aawaaze'n Sunee'n Jaise 10 Maah Ki Haamla Oo'ntni Ki Aawaaze'n Hoti Hai'n, Hatta Ke Nabi e Kareem ﷺ Mimbar Se Utre, Phir Aap ﷺ Ne Apna Haath Uss Tane Ke Upar Rakh Diya, Sulemaan Ne Kaha Az Yahya, Mujhe Hafs Bin Ubaidullaah Bin Anas Ne Khabar Di Ke Unho'n Ne Isko Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Se Suna Hai.
Saalim Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Se Suna, Aap Mimbar Par Khutba De Rahe The, Aap ﷺ Ne Farmaaya, Jo Shakhs Jum'ah Padhne Keliye Aaye To Usko Gusl Karna Chaahiye.
Baab, Khade Hokar Khutba Dena, Aur Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Jis Waqt Nabi e Kareem ﷺ Khade Hokar Khutba Dete The, (Phir Hadees No.920 Yeh Hai) Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Se, Unho'n Ne Kaha Ke, Nabi e Kareem ﷺ Khade Hokar Khutba Dete The, Phir Baithte The, Phir Khade Hote The Jaisa Ke Tum Ab Karte Ho.
Baab, Imaam Jab Khutba De To Namaaziyo'n Ki Taraf Muh Karke Aur Namaazi Imaam Ki Taraf Muh Kare, Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Aur Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Imaam Ki Taraf Muh Kiya, (Phir Hadees No.921 Yeh Hai) Riwaayat Hai Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Ek Din Nabi e Kareem ﷺ Mimbar Par Baithe Aur Ham Aap ﷺ Ke Gird Baith Gaye.
Baab, Jisne Khutbe Me'n Hamd Wa Sana Ke Ba'ad Amma Ba'ad (Ya'ni Hamd Wa Sana Ke Ba'ad Amma Ba'ad) Kaha, Ikrima Ne Riwaayat Ki Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Se Aur Woh Riwaayat Karte Hai'n Nabi e Kareem ﷺ Se, (Phir Hadees No.922 Yeh Hai) Urwah Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Mujhe Faatema Bint Munzir Ne Khabar Di Hazrat Asma Bint Abi Bakar Siddeeq Radiallaahu Anha Se, Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Paas Gayi, Uss Waqt Log Namaaz Padh Rahe The, Mai'n Ne Poochha Log Kyu'n Namaaz Padh Rahe Hai'n? Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Apne Sar Se Aasmaan Ki Taraf Ishaarah Kiya (Ya'ni Sooraj Ko Gahen Lag Gaya Hai) Mai'n Ne Poochha, Kya Yeh Koi Alaamat Hai? Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Apne Sar Se Ishaarah Kiya, Ya'ni Haa'n, Hazrat Asma Radiallaahu Anha Ne Kaha, Phir Rasoolullaah ﷺ Ne Bahot Lambi Namaaz Padhi, Hatta Ke Mujh Par Be Hoshi Taari Hone Lagi, Aur Mere Pehlu Me'n Paani Ki Ek Mushk Thi Jisme'n Paani Tha, Mai'n Ne Usko Khola Aur Usme'n Se Paani Nikaal Kar Apne Sar Par Daalne Lagi, Phir Rasoolullaah ﷺ Namaaz Se Mude Aur Uss Waqt Sooraj Ka Gahen Door Ho Gaya Tha, Phir Aap ﷺ Ne Khutba Diya, Aur Allaah Paak Ki Aisi Hamd Ki Jiske Woh Laayeq Hai, Phir Aap ﷺ Ne Farmaaya, Amma Ba'ad (Ba'ad e Hamd Wa Sana Ke) Aur Ansaar Ki Aurato'n Ka Shor Tha, Mai'n Unki Taraf Mudi Taake Mai'n Unko Chup Karaaoo'n, Pas Mai'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Poochha Ke Aap ﷺ Ne Kya Farmaaya Hai? Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha, Aap ﷺ Ne Farmaaya Hai Ke Jo Cheez Bhi Pehle Mujhe Nahee'n Dikhaayi Gayi Thi Uss Cheez Ko Mai'n Ne Uss Maqaam Me'n Dekh Liya Hai Hatta Ke Jannat Aur Dozakh Ko Bhi Dekh Liya Hai, Aur Beshak Meri Taraf Yeh Wahi Ki Gayi Hai Ke Beshak Tum Qabro'n Me'n Aazmaa'ish Me'n Mubtala Kiye Jaaoge Jo Maseeh Dajjaal Ke Fitne Ke Misl Ya Uske Qareeb Hogi, Tum Me'n Se Har Ek Ke Paas Kisi Ko Laaya Jaayega, Phir Kaha Jaayega, Iss Shakhs Ke Muta'alliq Tumhaara Kya Ilm Hai? Pas Jo Momin Hoga Ya Yaqeen Karne Waala Hoga, (Hishaam Raawi Ko Shak Hai, Hazrat Asma Ne Kya Kaha Tha) Woh Kahega Yeh Rasoolullaah Hai'n Yeh Muhammad ﷺ Hai'n Yeh Hamaare Paas Mo'jezaat Aur Hidaayat Ke Saath Aaye The, So Ham Unpar Imaan Laaye Aur Unki Tasdeeq Ki Pas Usse Kaha Jaayega Tum Apne Aa'maal Ke Nafa (Faa'ide) Ke Saath So Jaao, Beshak Ham Jaante The Ke Tum Inpar Imaan Laane Waale Ho, Aur Raha Munaafiq Ya Kaha, Shak Karne Waala (Isme'n Raawi Hishaam Ko Shak Hai) Usse Kaha Jaayega Iss Shakhs Ke Muta'alliq Tumhaara Kya Ilm Hai? Woh Kahega Mai'n Nahee'n Jaanta Mai'n Ne Logo'n Ko Kuchh Kehte Huwe Suna To Mai'n Ne Keh Diya, Hishaam Ne Kaha, Mujhse Faatema Ne Yeh Hadees Bayaan Ki, Pas Mai'n Ne Iss Hadees Ko Mehfooz Rakha, Siwa Uske Jisme'n Shiddat Ki Gayi.
Hasan Se Riwaayat Hai, Woh Kehte Hai'n Ke Hame'n Amr Bin Taglib Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Maal Aaya Ya Qaidi Aaye, Aap ﷺ Ne Uss Maal Ko Taqseem Farmaaya, Aap ﷺ Ne Chand Logo'n Ko Ata Kiya Aur Chand Ko Chhod Diya, Phir Aap ﷺ Ko Yeh Khabar Paho'nchi Ke Jin Logo'n Ko Aap ﷺ Ne Chhod Diya Hai Woh Naaraaz Hai'n, To Aap ﷺ Ne Allaah Ki Hamd Ki Aur Uski Sana Ki Phir Farmaaya, Amma Ba'ad (Hamd Wa Sana Ke Ba'ad) Pas Allaah Ki Qasam ! Mai'n Ek Shakhs Ko Ata Karta Hoo'n Aur Doosre Shakhs Ko Chhod Deta Hoo'n, Aur Jis Shakhs Ko Mai'n Chhod Deta Hoo'n Woh Mujhe Uss Shakhs Se Zyaadah Mehboob Hota Hai Jisko Ata Karta Hoo'n, Lekin Mai'n Un Logo'n Ko Deta Hoo'n Jinke Dilo'n Me'n Sakht Hirs Aur Be Sabri Dekhta Hoo'n, Aur Jinke Dilo'n Me'n Allaah Ne Istegna Aur Khair Rakha Hai, Un Logo'n Ko Mai'n Unke Istegna Ke Supurd Kar Deta Hoo'n, Unhi Me'n Amr Bin Taglib Hai'n, Hazrat Amr Bin Taglib Ne Kaha, Pas Allaah Ki Qasam ! Rasoolullaah ﷺ Ke Iss Irshaad Ke Badle Me'n Agar Mujhe Surkh Oo'nt Bhi Mil Jaaye'n To Woh Mujhe Pasand Nahee'n Hai'n, Iss Hadees Ki Yoonus Ne Mutaabe'at Ki Hai.
Riwaayat Hai Ibne Shihaab Se, Unho'n Ne Kaha Ke Mujhe Urwah Ne Khabar Di Ke Ek Raat Ko Aadhi Raat Ke Waqt Rasoolullaah ﷺ Masjid Ki Taraf Nikle, Phir Chand Logo'n Ne Aap ﷺ Ki Namaaz Ke Saath Namaaz Padhi, Phir Unho'n Ne Subah (Logo'n Ke Saamne) Yeh Baat Ki, (Phir Doosri Raat Ko) Unme'n Se Bahot Se Log Jama Ho Gaye, Pas Unho'n Ne Aap ﷺ Ke Saath Namaaz Padhi, Phir Subah Ko Logo'n Ne Yeh Baat Ki, Phir Teesri Raat Ko Masjid Waale Log Bahot Ho Gaye, Phir Rasoolullaah ﷺ Nikle To Logo'n Ne Aap ﷺ Ki Namaaz Ke Saath Namaaz Padhi, Jab Chauthi Raat Aayi To Masjid Ahle Masjid Ko Samaane Se Aa'jiz Ho Gayi Thi Hatta Ke Nabi e Kareem ﷺ Subah Ki Namaaz Keliye Nikle, Jab Aap ﷺ Ne Fajar Ki Namaaz Ada Farmaali To Aap ﷺ Logo'n Ki Taraf Mutawajjeh Huwe, Aap ﷺ Ne Kalma e Shahaadat Padha Phir Farmaaya, Amma Ba'ad (Ya'ni Tauheed Wa Risaalat Ki Gawaahi Ke Ba'ad) Mujh Par Tumhaari Jagah Makhfi Nahee'n Hai (Ya'ni Tumhaara Namaaz Ka Shauq), Lekin Mujhe Yeh Khatrah Hai Ke Tum Par Yeh Namaaz Farz Kardi Jaayegi Phir Tum Isko Padhne Se Aa'jiz Ho Jaaoge, Iss Hadees Ki Yoonus Ne Mutaabe'at Ki Hai, Yahya Bin Bukair Ki Mutaabe'at Yoonus Ne Ki Hai.
Riwaayat Hai Abi Humaid Saa'idi Se, Unho'n Ne Yeh Khabar Di Ke Rasoolullaah ﷺ Pichhle Paher Namaaz Ke Ba'ad Khade Huwe, Phir Aap ﷺ Ne Kalma e Shahaadat Padha Aur Allaah Ki Aisi Hamd Ki Jiska Woh Ahel Hai, Phir Farmaaya, Amma Ba'ad (Hamd Wa Sana Ke Ba'ad) Abu Mu'aaviya Aur Abu Usaama Ne Urwah Ki Mutaabe'at Ki Hai Az Hishaam Az Waalid Az Abu Humaid Az Nabi e Kareem ﷺ, Aap ﷺ Ne Farmaaya, Amma Ba'ad, Adani Ne Urwah Ki Mutaabe'at Ki Hai Az Sufiyaan, Aap ﷺ Ke Irshaad Amma Ba'ad Me'n.
Ali Bin Husain Ne Hadees Bayaan Ki Miswar Bin Makhrama Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Khade Huwe, Pas Jab Aap ﷺ Ne Kalma e Shahaadat Padha To Mai'n Ne Aap ﷺ Ko Yeh Kehte Huwe Suna, Amma Ba'ad, (Shahaadat Ke Ba'ad) Zubaidi Ne Sho'aib Ki Mutaabe'at Ki Hai Az Zohri.
Ikrima Ne Hadees Bayaan Ki Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Mimbar Par Chadhe Aur Yeh Aakhri Majlis Thi, Jisme'n Aap ﷺ Baithe, Uss Waqt Aap ﷺ Ne Ek Badi Chaadar Apne Kandho'n Par Daali Huwi Thi, Aur Apne Sar Par Imaama Baa'ndha Huwa Tha, Jo Tel Se Chikna Ho Chuka Tha, Aap ﷺ Ne Allaah Ki Hamd Ki Aur Uski Sana Ki, Phir Aap ﷺ Ne Farmaaya, Aye Logo ! Mere Qareeb Aa Jaao, So Log Aap ﷺ Ki Taraf Aa Gaye, Phir Aap ﷺ Ne Farmaaya, Amma Ba'ad (Hamd Wa Sana Ke Ba'ad) Ansaar Yeh Qabeela Kam Hota Jaayega Aur (Doosre) Log Zyaadah Hote Jaaye'nge Pas (Sayyaduna) Muhammad ﷺ Ki Ummat Me'n Se Jo Shakhs Kisi Mansab Ka Waali Ho Aur Woh Kisi Ko Zarar Paho'nchaane Ya Kisi Ko Nafa Dene Ka Ikhtiyaar Rakhta Ho To Woh Ansaar Me'n Se Neko'n Ki Neki Ko Qabool Kare Aur Unme'n Se Khata Kaaro'n Ki Khata Se Dar Guzar Kare.
Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ (Jum'ah Ke Din) 2 Khutbe Dete The Jinke Darmiyaan Baith'te The.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Jum'ah Ka Din Hota Hai To Farishte Masjid Ke Darwaaze Par Thaher Jaate Hai'n Aur (Aane Waalo'n Ko) Likhte Hai'n, Jo Pehle Aaye Usko Pehle Likhte Hai'n, Jo Jaldi Aaye Uski Misaal Aisi Hai Jaise Koi Oo'nt Ki Qurbaani Kare, Phir Jo Uske Ba'ad Aaye Woh Gaaye Ki Qurbaani Karne Waale Ki Misl Hai, Phir Me'ndhe Ki Misl Hai, Phir Murgi Ki, Phir Ande Ki, Phir Jab Imaam (Hujre Se Khutba e Jum'ah Keliye) Nikal Aaye To Farishte Apne Sahaa'if Ko Lapet Dete Hai'n Aur Waa'z Ko Sunte Hai'n.
Riwaayat Hai Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Ek Shakhs Uss Waqt Aaya Jab Nabi e Kareem ﷺ Jum'ah Ke Din Khutba De Rahe The, Aap ﷺ Ne Uss Aadmi Se Farmaaya, Aye Fulaa'n, Kya Tumne Namaaz Padhli Hai? Usne Kaha, Nahee'n, Aap ﷺ Ne Farmaaya, Phir Khade Hokar 2 Rak'at Namaaz Padho.
Riwaayat Hai Hazrat Amr Se Aur Unho'n Ne Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Se Suna Ke Ek Shakhs Jum'ah Ke Din Uss Waqt (Masjid Me'n) Daakhil Huwa Jab Nabi e Kareem ﷺ Khutba De Rahe The, Aap ﷺ Ne Usse Farmaaya, Kya Tumne Namaaz Padhli Hai? Usne Kaha, Nahee'n, Aap ﷺ Ne Farmaaya, Phir Khade Hokar 2 Rak'at Namaaz Padho.
Riwaayat Hai Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Jis Waqt Nabi e Kareem ﷺ Jum'ah Ke Din Khutba De Rahe The Ek Shakhs Khada Huwa Aur Kehne Laga, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Ghode Halaak Ho Gaye, Aur Bakriyaa'n Halaak Ho Gayee'n, So Aap ﷺ Allaah Paak Se Du'aa Keejiye Ke Woh Ham Par Baarish Naazil Farmaaye, Phir Rasoolullaah ﷺ Ne Apne Haath Buland Kiye Aur Du'aa Maa'ngi, (Aur Baarish Hone Lagi).
Riwaayat Hai Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke Ahed Me'n Logo'n Par Qahet Aa Gaya, Pas Jis Waqt Nabi e Kareem ﷺ Jum'ah Ke Din Khutba De Rahe The Ek Dehaati Khada Huwa Aur Usne Kaha Ya Rasoolallaah ﷺ ! Maal Halaak Ho Gaya Aur Bachche Bhooke Hai'n, So Aap ﷺ Hamaare Liye Du'aa Keejiye, To Aap ﷺ Ne Apne Dono'n Haath Buland Kiye, Ham Uss Waqt Aasmaan Me'n Koi Baadal Ka Tukda Bhi Nahee'n Dekh Rahe The, Pas Uss Zaat Ki Qasam Jiske Qabze Wa Qudrat Me'n Meri Jaan Hai ! Abhi Aap ﷺ Ne Apne Haatho'n Ko Neeche Nahee'n Kiya Tha Hatta Ke Pahaado'n Ki Misl Baadal Umad Aaye, Phir Abhi Aap ﷺ Mimbar Se Nahee'n Utre Hatta Ke Mai'n Ne Dekha Baarish Aap ﷺ Ki Daadhi Mubaarak Par Tapak Rahi Hai, Phir Uss Din Ham Par Baarish Huwi Aur Uske Agle Din Baarish Huwi Aur Uske Ba'ad Waale Din Baarish Huwi Aur Uske Qareeb Waale Din Baarish Huwi Hatta Ke Doosre Jum'ah Tak Baarish Huwi, (Jab Doosre Jum'ah Ka Din Aaya To Doosre Jum'ah Ko) Woh Dehaati Khada Huwa Ya Koi Aur (Khada Huwa), Pas Usne Kaha Ya Rasoolallaah ﷺ ! Makaan Gir Gaye Aur Maal Garq Ho Gaya, So Aap Hamaare Liye Allaah Paak Se Du'aa Keejiye (Ke Baarish Band Ho Jaaye), Phir Aap ﷺ Ne Apne Dono'n Haath Buland Kiye Phir Du'aa Ki, Aye Allaah Hamaare Ird Gird Baarish Barsa Ham Par Na Barsa, Phir Aap ﷺ Baadal Ke Jis Simt Bhi Apne Haath Se Ishaarah Karte The To Baadal Hat Jaate The Aur Poora Madeena Hauz Ki Tarah Ho Gaya Aur Waadi e Qanaata Ka Naala Ek Maah Tak Behta Raha Aur Jis Taraf Se Koi Shakhs Aata Tha Woh Baarish Ki Kasrat Ki Khabar Deta Tha.
Baab, Jum'ah Ke Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho To Khaamosh Rehna Aur Jab Usne Apne Saathi Se Kaha, Chup Karo To Usne Lagw Kaam Kiya, Aur Hazrat Salmaan Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Imaam Kalaam Kare To Khaamosh Raha Jaaye, (Aur Hadees No.934 Yeh Hai Ke) Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Khabar Di Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Tumne Jum'ah Ke Din Apne Saathi Se Kaha, Chup Karo Aur Imaam Khutba De Raha Ho To Tumne Lagw Kaam Kiya.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Jum'ah Ke Din Ka Zikr Kiya Pas Farmaaya, Isme'n Ek Aisi Saa'at Hai Ke Jo Musalmaan Bandah Uss Saa'at Ko Paale Aur Woh Uss Saa'at Me'n Khada Huwa Namaaz Padh Raha Ho Aur Woh Allaah Paak Se Kisi Cheez Ka Sawaal Kare To Allaah Paak Usko Woh Cheez Ata Farma Deta Hai Aur Aap ﷺ Ne Haath Se Ishaarah Karke Bataaya Ke Woh Saa'at Bahot Thodi Hai.
Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Jis Waqt Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Namaaz Padh Rahe The Uss Waqt Galla Lekar Ek Qaafla Aaya, Sab Namaazi Uski Taraf Mutawajjeh Ho Gaye Hatta Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Sirf 12 Aadmi Baaqi Reh Gaye, Uss Mauqe Par Yeh Aayat Naazil Huwi, Aur Jab Unho'n Ne Koi Tijaarat Ya Khel Dekha Uski Taraf Chal Diye Aur Tumhe'n Khutba Me'n Khada Chhod Gaye, (Sureh Jum'ah, Aayat No.11)
Riwaayat Hai Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Zohar Se Pehle 2 Rak'at Padhte The Aur Zohar Ke Ba'ad 2 Rak'at Padhte The Aur Magrib Ke Ba'ad 2 Rak'at Apne Ghar Me'n Padhte The Aur Isha Ke Ba'ad 2 Rak'at Padhte The Aur Aap Jum'ah Ke Ba'ad Namaaz Nahee'n Padhte The Hatta Ke Aap (Apne Ghar) Laut Aate Phir Aap 2 Rak'at Namaaz Padhte The.
Hazrat Sahl Bin Sa'ad Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai, Unho'n Ne Kaha Ke Ham Me'n Ek Khaatoon Rehti Thee'n, Unho'n Ne Naher Ke Kinaare Ek Kyaari Banaayi Huwi Thi Jisme'n Chuqandar Boye Huwe The, Jum'ah Ke Din Woh Chuqandar Ki Jade'n Nikaal Kar Ek Degchi Me'n Daaltee'n Aur Usme'n Ek Mut'thi Jaw Pees Kar Daal Detee'n Aur Woh Chuqandar Ki Jade'n Gosht Ke Qaayem Maqaam Ho Jaatee'n, Ham Jum'ah Ki Namaaz Padh Kar Waapas Aate To Unko Salaam Karte, Woh Khaatoon Hamko Ta'aam Pesh Kartee'n, Ham Usko Chaat Chaat Kar Khaate, Ham Uss Ta'aam Ki Wajah Se Jum'ah Ke Din Ki Tamanna Karte The.
Hazrat Sahl Radiallaahu Anhu Ne Yehi Hadees Bayaan Ki Aur Unho'n Ne Kaha, Ham Jum'ah Ke Ba'ad Qailoola Karte The Aur Khaana Khaate The.
Riwaayat Hai Humaid Se, Unho'n Ne Kaha Ke, Mai'n Ne Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ko Yeh Kehte Huwe Suna Hai Ke Ham Jum'ah Keliye Jaldi Jaate The, Phir Ham Qailoola Karte The.
Hazrat Sahl Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Jum'ah Ki Namaaz Padhte The, Phir Uske Ba'ad Qailoola Hota Tha.
Bukhari Shareef : Kitaabul Jum'ah
|
Bukhari Shareef : كِتَابُ الجُمُعَةِ
|
•